saadharan pariwar main janma liya aur hamesha sadharan rahna hi pasand kiya. meraa maanana hai kewal achaa dikhana kisi vyakti ki khubsurati ka paimana nahi hoota. achaa banane ke liye sooch bhi khubsurat honi chaahiye. logon ka pyar pana caahata hoon aur khoob pyar bantana caahata hoon. muje kushi hooti hai jab mai kisi ki madad karta hoon. logo ke cheharen par hanshi dekhata hoon to bahut acchaa lagtaa hai. rajasthan ke ke bahu bade newspaper RAJASTHAN PATRIKA ka reporter hoone ke naate bahut si jimmedariyon ko mahsoos karta hoon. logon ke dard bantana caahata hoon. koyonki mai janata hoon ki dard kya hota hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें